1. Sarkari Barber

    Sarkari Nai (Barber) ne baal kaat-te waqt Kapil Sibal se poochha - Saab ye Swiss bank wala kya lafda hai ?


    Kapil Sibal shouted - Abey tu baal kaat raha hai ya inquiry kar raha hai ? Nai ( Barber)- Sorry saab aise hi poochh liya.


    Agle din Pranab Mukerji se bal Kaat-ke waqt poochha - Saab ye kala dhan kya hota hai ?


    Pranab shouted - Tum humse ye sawaal kyun poochha ?


    Nai - Sorry saab bas aise hi poochh liya.


    Next day CBI interrogates the Nai - Are u an agent of Baba Ramdev ?
    Nai - Nahi saab ji.
    CBI - Kya tum Anna k agent ho ?
    Nai - Nahi saab ji.
    CBI - To tum baal kat-te waqt Congressi netaon se faltu k sawaal kyun karte ho ?

    *Naayi - Saab na jane kyun Swiss bank aur kale dhan k naam par in Congress wale
    ke baal khade ho jate hain aur mujhko baal kaatne me aasani ho jati hai isliye poochhta rehta hoon.*

    2 months ago  /  0 notes